Aik Faqeer bus stop par
Posted in Jokes
aik Faqeer bus stop par khara ho kar bheek maang raha tha uss ne barabar wale aik admi se kaha ."Allah ke wastay mujh par taras khao mujhe paanch ( 5 )rupee deh do". Admi ne kaha "tamatar khao"faqeer ne fir uss se kaha ke "mujhey kuch deh do". Admi ne jawab diya " tamatar khao".
Faqeer ne barabar mein kharey dosre admi se kaha " ajeeb aadmi hai main paise maang raha hoon yeh keh raha "Tamatar khao" main tamatar kyun khaon?"
aadmi ne hans ke kaha " oh pagal !! woh totala hai woh keh raha hai kamakar khao"