SAHIR LUDHIANVI
Posted in Shayri
Hawas naseeb nazar ko kahin qaraar nahin
Main muntazar houn, magar teraa intezaar nahin
Hamin se rang-e-gulistaan, hamin se rang-e-bahaar
Hamin ko nazm-e-gulistaan pe ikhtiyaar nahiin
Abhii na chher muhabbat ke geet aie mutrib
Abhii hayaat kaa maahaul Khushgavaar nahin
Tumhaare ahd-e-vafaa ko main ahd kyaa samjhoun
Mujhe Khud apnii muhabbat kaa aitbaar nahin
Na jaane kitne gile ismein muztarib hai nadeem
Vo ek dil jo kisii kaa gilaa-guzaar nahiin
Gurez kaa nahiin qaa’il hayaat se, lekin
Jo sach kahoun to mujhe maut naagavaar nahiin
Ye kis maqaam pe pahunchaa diyaa zamaane ne
K ab hayaat pe tera bhi ikhtiyaar nahiin
Glossary:
hawas-naseeb = lustful
qaraar = satisfaction
muntazir = waiting
nazm-e-gulistaaN = the arrangment of the garden (system!)
mutrib = singer
hayaat = life
maahaul = environment
Khushgavaar = happy
ahd-e-vafaa = the promise of love and faithfulness
gile = complaints
muztarib = anxious
nadeem = companion
gurez = running away
qaa’il = consenting
naagavaar = unpleasant
iKhtiyaar = adopted, acquired