“Taraan-e-Hind” Sare Jahan Se acha. (ALAMA IQBAL)  

Posted in

Sare Jahan se achachha Hindustan hamara,
hum bulbulen hainiski yeh gulistan hamara!

Ghurbat men hon agar ham rehta hai dil watan men,
Samjho wahin hamen bhi dil ho jahan hamara!

Parbat woh sab se uncha hamsaya aasmaan ka,
woh santari hamara, woh pasban hamara!

Godi men khelti hain iski hazaron nadiyan,
Gulshan hai jinke dam se rashke jinan hamara

Aiy ab-e-rood-i-ganga ! woh din hain yaad tujhko,
utra tere kinare jab karavan hamara!

Mazhab nahin sikhata apas men bair rakhna
Hindi hain ham watan hai Hindustan hamara!

Yunan-o-misr-o-Roma sab mit gaye jahan se,
ab tak magar hai baqi nam-o-nishaan hamara!

Kuchh bat hai ki hasti mitthi nahin hamari,
sadiyon raha hai dushman daur-i-zaman hamara

Iqbal! koi mehram apna nahin jahan men
Ma'loom kya kisi ko dard-i-nihan hamara!

0 comments

Post a Comment

Followers

Click to join mushtaq_mukatil

Click to join mushtaq_mukatil

Archives

> IP
Custom Search