AAMIR MINAEE  

Posted in

tum ko aata hai pyaar per ghussa
mujh ko ghusse per piyaar aata hai

baki na dil main koi bhi ya rab hose rahe
chodha baras ke son main who lakho baras rahe

tujh se mangu main tujhi ko ke sabh kuch mil jaye
sow sawalow se yehi ek sawal accha hai

sari dunya ke hai who mere siwa
main ne dunya chod di jin ke liye

ab yeh jaana ke isse kehte hai aana dil ka
ham hassin khel main samajhte the lagana dil ka

jafa ko wafa kiyo na samjhu main na sahi
mohabbat main acchi buri sujhti hai?

mere bas main ya to ya rabh wo sitam shiyaar huta.
ya na tha to kash dil per mujhe iqtiyar huta

har jagha joshe mohabbat ka naya aalam huwa
aankh main assoo, jigar main daag, dil main gham huwa

rutba shahid-e-isq ka gar jaan jaye
kurban jane wale ke kurban jaye

0 comments

Post a Comment

Followers

Click to join mushtaq_mukatil

Click to join mushtaq_mukatil

Archives

> IP
Custom Search