Sahir Ludhyanvi (Kabhi Kabhi)  

Posted in

Kabhi kabhi mere dil main khayaal aata hai
Ke zindagi teri zulfo ki naram chawo main
Guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi
Ye teergi jo meri zisat ka mukaddar hai
Teri nazar ki shuauown main kho bhi sakti thi
Aajab na tha ke main beganaye aalam reh kar
Tere jamal ki renaiyo main kho rehta
Tera guddaz badan, teri neem baaz aakhne
Inhi hasseen fasanoo main mahu ho rehta
Pukarti mujhe jab talqiyah zamane ki
Tere luboo se halawat ke khooth pe leta
Hayath chikhti phirti barhana ser, our main
Ghaneri zulfoo ke saye main chup ke jee leta

Magar ye ho na saka our ab ye aalam hai
Ke tu nahi tera gham, teri justaju bhi nahi
Guzar rahi hai kuch is tarha zindagi jese
Issy kisi ki sahare ki aarzoo bhi nahi

Zamane bahr ke dukhoo ko laga chukka hu gale
Guzar raha hu kuch anjani reh guzaroo se
Muheeb saaye meri simth badte aate hai
Hayyat wa mote ke perhol khar zaroo se

Na koi jada, na koi manzil, na roshni ka chirag
Bhatakti phir rahi hai khalaoo main zindagi meri
Inhi khilaoo main reh jaaoo ga kabhi kho kar
Main janta hu meri hum nafas magar yu hi
Kabhi kabhi mere dil main kahyal aata hai

0 comments

Post a Comment

Followers

Click to join mushtaq_mukatil

Click to join mushtaq_mukatil

Archives

> IP
Custom Search